Your FACTOR Of Decision Making

Waj'hiLLAAH Ke wajah'inNafas

HAME APNA MAQSAD BADALNE KI ZAROORAT HAI..

Abhi Zyadatar to Objectivelessness  hi Zindagi ka MAQSAD hai. Pet Maqsad hai, Daulat o maal Maqsad e hayaat hai, Duplicate Angrez apni auladon ko banana hi Ideal Education hai aur Qaaroon ban jaana hi tamanna o Aarzoo hai.

Ab in musalman ke sath ALLAH ki Razaa o saath hai ke nahi, ye apna samjhen Kyunki inhone HAQ aur Baatil dono ko ek hi Samajh liya hai.

Ulema ka mauzoo tafarqa hai QAUM ki BaQaa nahi. Muqtadee ka maqsad rasm e ibadat hai, ALLAH ki Bargaah me Haazri e Qalb nahi.. 

Dawedaaron me se Zyadatar ka maQsad Ash'aar likhna, padhna, sunaana is liye taa ke khoob demand ho ke apna Career/ Job/ income chale, lekin Mohabbat e RASOOLALLAH sallahoalaihi wasallam ka taqaze ke mutabiq, mere Hazrat ALI raziALLAH anh, Hazrat Umar Farooq raziALLAH anh aur Hazrat Imam HUSSAIN raziALLAH u anh ke jaisa performance karna nahi.

Tamam ya Zyadatar Educators, teachers, professors, HOD, Principals, VC ka maqsad hai syllabus pura karna, degree baantna, apna JOB karna, lekin Taaleem o TARBIYAT karna nahi, Objective Oriented Human Resources produce karna nahi..

Madarssa Board ka maqsad Jhoot moot ka deeni Taaleem  ka certificate baantna (phenkna) hai, QAUM ki taameer karna nahi.

Board members ka maqsad hai board par Qabza karna aur uske tamam faydon se mustafeez hona aur najayaz istemal karna, Qaum ki HRD karna nahi, balki ye unki FIKR ka hissa hi nahi.

Masjid committee ka maqsad hai Netagiri karna aur Imaam Sb ko kamtari me Giraftar rakhna, QAUM ki Khidmat o Rahnumai me Imaam ki Madad aur Muqtadee ki Taameer ki koshish karna nahi.

Karobariyon ka MaQsad hai kisi bhi tarah ka maal khaana, mahaz faayda uthana aur jamaa karna.., Balance ESTABLISH karna nahi, ALLAH ki Razaa Haasil karna nahi.

Deendar log dar o deewar o zameen o ceiling aur AC ko Chamka ke DILBASTAGI kar rahe hain.. apni masjid ke muQtadee, apne aap aur dusron ke Qalb o Kirdaar ko chamkaane ki Jaddojahad nahi..

Aur Phir Facebook ki Khidmat ke liye Kaaba Shareef aur Madina Shareef ki Tasweer Pesh kar ke DILBASTAGI kar rahe hain... Apne Qalb o Zehan o Kirdaar o Zindagi ke Tazkiya ke liye nahi...

Har tabQe ka aadmi apne us maQsad ko hi jee raha hai jo uska Nafs ya society ya circles ya fashion  ya halaat ka taQaza kah raha hai.. aur uska faisla wajah'inNafas hai... Waj'hiLLAAH nahi..!!

MAQSAD apna badaliye.


Dr. M. Kashif Raza Khan

HRD Consultant, Director Training

IDC

Institutional Development Consultation,

Convenor

Muslim HRD Mission,

HCB MISSION

Human Capacity Building Mission

Comments

Popular posts from this blog

Education Should Prepare Us For Our Practical Life

NEED TO DEVELOP QAUMI TRAITS

SYMPOSIUM on Educational Leadership Issues